raushnī Duub ga.ī chāñd ne muñh Dhāñp liyā
ab koī raah dikhā.ī nahīñ detī mujh ko
raat ke haath ne kirnoñ kā galā ghūñT diyā
jaise ho jaa.e zamīñ-bos shivāla koī
jis ne chhup-chhup ke jalāyā mirī ummīdoñ ko
vo sulagtī huī ThanDak mire ghar tak pahuñchī
mire tārīk gharauñde ko udāsī de kar
muskurāte haiñ darīchoñ meñ ishāre kyā kyā
jis ne ā.ankhoñ meñ sitāre se kabhī ghole the
aaj ehsās pe kājal sā bikherā us ne
vo talavvun ki nahīñ jis kā Thikāna koī
us ke andāz-e-kuhan aaj na.e taur ke haiñ
vo mahaktā sā chahaktā sā ubaltā siina
us kī mī.ād hai do roz lipaTne ke liye