Qateel Shifai

diwali

Qateel Shifai

Hazara, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1919-2001
dar-o-dīvār par chhā.ī hai udāsī ġham kī
mahv-e-hairat hai ḳhushī dīda-e-hairāñ kī tarah
koī jhoñkā koī aahaT koī āvāz nahīñ
raat vīrāñ hai kisī shahr-e-ḳhamoshāñ kī tarah
din Dhale dekh liyā thā koī uḌtā bādal
kunmunātī hai fazā mausam-e-bārāñ kī tarah
duur pardes kī rāhoñ meñ bhaTakte raahī
dil meñ phir yaad tirī aa.ī hai mehmāñ kī tarah
vo sar-e-shām dar-o-bām pe jalte dīpak
kyā mirī tarah tujhe yaad nahīñ aate haiñ
raushnī meñ vo nahā.e hue ujle manzar
kyā nigāhoñ meñ tirī aaj bhī lahrāte haiñ
kyā vo biite hue pur-nūr chahakte lamhe
aaj bhī dil meñ tire giit koī gaate haiñ
kyā tire ḳhvāb ġham-e-hāl ke vīrāne meñ
ab bhī maazī kā fasāna koī dohrāte haiñ
vo ujāle jo tirī tarah mujhe bhuul ga.e
duur se ab mirī fariyād nahīñ sun sakte
dil ke tāroñ ko bahut jam.a kiyā hai maiñ ne
vo magar naġhma-e-ehsās nahīñ ban sakte
mirī āvāz ko jazbāt kī dīvār ke paar
sun to sakte haiñ magar sar ko nahīñ dhun sakte
maiñ jo ro.uuñ bhī to ye vaqt ke andhe sāthī
kisī bikhre hue motī ko nahīñ chun sakte
dīp-mālā kī ye bechain bilaktī huī raat
us ke dāman meñ mire ashk-e-ravāñ palte haiñ
ham-safar koī nahīñ hai mirī tanhā.ī kā
chand saa.e haiñ jo hamrāh mire chalte haiñ
DabDabā.ī huī āñkhoñ meñ hai sāvan kī jhaḌī
aur dil meñ mire yādoñ ke shajar palte haiñ
dekh maiñ ne bhī manā.ī hai yahāñ dīvālī
mirī palkoñ pe bhī ashkoñ ke diye julte haiñ
Top Urdushayar.com