Mohsin Aftab Kelapuri

kabaad-KHana

Mohsin Aftab Kelapuri

Pandharkawada, Maharashtra, India

1986
ik din apne kamre meñ maiñ
baiThā baiThā soch rahā thā
ghar meñ ik kamra hai jahāñ par
bahut sī chīzeñ paḌīñ huī haiñ
ik lāThī hai ik baTva hai
katthe chūne kī Dibiyā hai
Tañgī hai kone meñ ik chhatrī kaalī kaalī
jis ko chūhoñ ne qatra hai jagah jagah se
ik lakḌī kī kursī bhī hai
būḌhī sī aur lañgḌī-lūlī
is kamre ke ik kone meñ
ik chaupā.ī paḌī huī hai
bilkul us ke baazū meñ hī
būḌhā sā ik taḳht rakhā hai
taḳht ke aage bilkul aage
chīte kī ik khaal paḌī hai
kuchh hirno ke sar bhī haiñ dīvār pe laTke ab tak
jin ke uupar ab chiḌiyoñ ne apne apne tāj-mahal ta.amīr kiye hai
kuchh talvāreñ ḳhuuñ kī pyāsī pyaas bujhāne taḌap rahīñ haiñ

ik tote kā piñjra bhī hai
ek surāhī rakkhī huī hai
ik bīmār sā huqqa bhī hai
khāñstā rahtā hai jo ab
ik lakḌī kī almārī bhī kone meñ ḳhāmosh khaḌī hai
jis meñ kuchh bosīda kapḌe rakkhe hue haiñ
ik sandūq hai jis ke andar kuchh zevar haiñ
jinkī qīmat ab bāzār meñ kuchh bhī nahīñ
ek tijorī bhī rakkhī hai
jis ko dekh ke ab tak saarī chīzeñ jaltī haiñ
ik nā-bīnā chashma bhī hai
ik pagḌī bhī rakkhī huī hai
kuchh juute chappal bhī haiñ jo
auñdhe chitte leTe haiñ
TūTe-phūTe se ik do haath ke pañkhe bhī haiñ

aur ik taaq meñ chand kitābeñ
bhūkī pyāsī chīkh rahīñ haiñ
ik kone meñ kuchh tasvīreñ paḌī huī haiñ
mere purkhoñ kī tasvīreñ
purkhoñ kī ye shān-o-shaukat
ik kamre meñ band paḌī hai
Top Urdushayar.com