kal us ne pūchh hī Daalā
tum āḳhir kaun ho mere
hamāre darmiyāñ
jo ik ta.alluq hai
kuchh batāoge
to maiñ ne kah diyā
rishta vahī hai darmiyāñ apne
jo āñkhoñ kā hai nīñdoñ se
jo nīñdoñ kā hai ḳhvāboñ se
jo sūraj-chāñd kā hai is zamīñ se
aur zamīñ kā peḌ-paudoñ se
jo miTTī kā bashar se hai
bashar kā jo ḳhudā se hai
mohabbat kā diloñ se hai
vahī dil
mohabbat jis ke andar hai
mohabbat kā hasīñ rishta vahī hai darmiyāñ apne
ab is rishte ko koī naam dene kī zarūrat hai