Ahmad Ali Barqi Azmi

reKHta

Ahmad Ali Barqi Azmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1954
reḳhta jis kā baḌā naam hai kyā arz karūñ
ye hamāre liye in.aam hai kyā arz karūñ
faal nek is kā hai urdu ke liye apnā vajūd
jis kā faizān-e-nazar aam hai kyā arz karūñ
aap ḳhud dekh leñ kahne pe na jaa.eñ mere
vo bhī is meñ hai jo gumnām hai kyā arz karūñ
merā majmūa-e-ash.ār hai is kī zīnat
bāda-e-shauq kā ye jaam hai kyā arz karūñ
apnī mīrās-e-adab karte haiñ kaise mahfūz
is kā sab ke liye paiġhām hai kyā arz karūñ
kisī muslim ko na dī is kī ḳhudā ne taufīq
aap bhī dekh leñ kyā kaam hai kyā arz karūñ
ye kutub-ḳhāna-e-mārūf adab kā 'barqī'
aisī ik jalva-gah-e-ām hai kyā arz karūñ
Top Urdushayar.com