hai mizāj us vaqt kuchh bigḌā huā sayyād kā
ai asīrān-e-qafas mauqa nahīñ fariyād kā
kitnā dard-āmez thā naġhma dil-e-nāshād kā
tiir tarkash meñ taḌap uTThā sitam ījād kā
dāstān-e-ālam-e-furqat kisī se kyā kaheñ
ho gayā barbād har zarra dil-e-nāshād kā
aap ko milnā nahīñ manzūr lo martā huuñ maiñ
muntazir baiThā huā thā aap ke irshād kā
ai dil-e-nāshād mujh ko terī vahshat dekh kar
yaad aa jaatā hai qissa qais aur farhād kā
aa.e vo bahr-ayādat Daal kar ruḳh par naqāb
rah gayā armān dil meñ āshiq-e-nāshād kā
aap farmāte haiñ tū ne raat ko naale kiye
banda-parvar 'auj' tū aadī nahīñ fariyād kā