āġhosh-e-ehtiyāt meñ rakh luuñ jigar kahīñ
Dartā huuñ le uḌe na kisī kī nazar kahīñ
ġhurbat meñ ajnabī kā bhī hotā hai ghar kahīñ
din-bhar kahīñ guzār diyā rāt-bhar kahīñ
aġhyār huuñ kahīñ but-e-shorīda-sar kahīñ
sab kuchh ho aah meñ to ho apnī asar kahīñ
yuuñ uf na bāġh-e-dahr meñ barbād ho koī
bulbul kā āshiyāñ hai kahīñ bāl-o-par kahīñ
maiñ aaj apnī aah kā kartā huuñ imtihān
huuñ āsmāñ zamīn na zer-o-zabar kahīñ
qaid-e-qafas meñ hasrat-e-parvāz kyuuñ rahe
sayyād jo uḌā de na hai bāl-o-par kahīñ
rahtī hai un kī yaad mirī dil meñ har ghaḌī
'auj' un ke dil meñ kaash ho merā bhī ghar kahīñ