Safi Lakhnavi

urdu-e-mualla

Safi Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1862-1950
apne muñh se kah rahī hai saaf urdu kī zabāñ
maulid-o-māvā hai merā kishvar-e-hindostāñ
muddatoñ sarkār-e-dehlī meñ rahī ye bāryāb
ab tak urdu-e-muallā hai vahī shāhī ḳhitāb
tajribe kī aañkh se dekhā jo is ko honhār
company ne kar liyā apnā sharīk-e-kārobār
fārsī hindī kī āmezish se hai is kā vajūd
yādgār-e-ittihād-e-ahl-e-islām-o-hanūd
thī mah-e-nau rafta rafta māh-e-kāmil ban ga.ī
shā.irāna mahfiloñ meñ sham-e-mahfil ban ga.ī
khīñch do uTh kar qavā.id se hisār-e-āfiyat
mil ke sab tayyār kar do jāma.a o maan.e luġhat
har zabāñ kā lafz khap jaa.e ye vus.at is meñ hai
har luġhat ke jazb kar lene kī tāqat is meñ hai
Top Urdushayar.com