Nisar Kubra

zaban-e-urdu

Nisar Kubra

jahāñ pahoñche hindostānī vahāñ pahuñchī zabāñ urdu
murkkab har zabāñ se ban ga.ī shīrīñ zabāñ urdu
nikal kar hind se pahuñchī ye america aur africa
samajh lete haiñ har mulkoñ ke bāshinde zabāñ urdu
ga.ī ye chīn-o-jāpān aur ga.ī europe ke mulkoñ meñ
rahā jo chand din hind meñ huī us kī zabāñ urdu
samundar paar ho kar ye ga.ī sahrā-nashīnoñ meñ
hamārī hai bahut āsān aur shīrīñ zabāñ urdu
na pūchho us kī vus.at ko kahāñ se hai kahāñ pahuñchī
taraqqī ḳhud-baḳhud ye karne vaalī hai zabāñ urdu
palī hai pyār-o-ulfat meñ ye hindū aur musalmāñ ke
to phir kyuuñ ḳhaar ho nazroñ meñ ye pyārī zabāñ urdu
miTānā chāhiye us ko na nafrat aur ġhaflat se
nishānī ulfat-o-millat kī hai be-shak zabāñ urdu
Top Urdushayar.com