hind hindostān vaalo tum ai hindū musalmāno
tumhī aapas ke kul jhagḌoñ ko be-khaTke miTā sakte
haiñ donoñ bulbul-e-shaidā hai donoñ kā gulistāñ ye
na tum bhī chhoḌ sakte ho na vo bhī yaañ se jā sakte
to phir kyā fā.eda hai tum ko har-dam yuuñ jhagaḌne meñ
agar mil-jul ke aapas meñ ho kul bigḌī banā sakte
tumhāre kaam vo aa.eñ tum un kā saath do har-dam
kudūrat dil kī us sūrat se donoñ ho miTā sakte
ujaḌte dekh kar is taur se ḳhāmosh rahnā kyā
jo is ujḌī huī bastī ko ulfat se basā sakte
jo tum chāho to is kī dhuum ik aalam meñ mach jaa.e
yahī haiñ vo ki jo rūThe huoñ ko haiñ manā sakte
vahī haiñ lā.eq-e-tahsīn 'kubrā' bāġhbānoñ meñ
ki jo kum.hlā.ī kaliyoñ ko chaman kī haiñ khilā sakte