Nisar Kubra

hilal-e-eid

Nisar Kubra

kyuuñ ishāra hai ufuq par aaj kis kī diid hai
alvidā.a māh-e-ramazāñ vo hilāl-e-eid hai
masjidoñ meñ sab jam.a ho jā.eñge ḳhurd-o-kalāñ
duur ho dil kī kudūrat ye savāl-e-eid hai
muslimoñ ke sar jhukeñ haiñ sajda-e-allāh meñ
kyā uḳhuvvat kā sabaq hai kyā kamāl-e-eid hai
aaj ġhorabā bhī amīroñ ke gale mil jā.eñge
kuchh nahīñ tafrīq hogī ye visāl-e-eid hai
hai musalmānoñ par vājib sadqa-e-eid-ul-fitr
pā ke rozī ḳhush haiñ ġhorabā ye nihāl-e-eid hai
zeb detā hai libās-e-nau na.e andāz meñ
tan badan bhī hai mo.attar ye jamāl-e-eid hai
eid aa.ī aur kyā kyā yaad taaza kar ga.ī
soñch bichhḌoñ kī hai dil meñ aur ḳhayāl-e-eid hai
Top Urdushayar.com