pahle fan dast-o-garebāñ haiñ karāñ-tā-ba-karāñ
sar-nigūñ baiThī huī hai ḳhaak par urdu zabāñ
kashtī-e-urdu-zabāñ ke nā-ḳhudāo kyā huā
ilm-o-fan sher-o-suḳhan ke rahnumāo kyā huā
dekhiye jis ko bhī ab to ham-sar-e-ġhālib hai vo
shā.ir-e-āzam hai aur e.azāz kā tālib hai vo
numberoñ se aur goshoñ se rasā.il bhar ga.e
is zavāl-e-ilm se ḳhud ilm vaale Dar ga.e