aaj may kā pahlā din hai aaj kā din mazdūr kā din hai
zulm-o-sitam ke madd-e-muqābil hausla-e-jamhūr kā din hai
aaj kā din ye ilm-o-hunar kā fikr-o-amal kī fat.h-o-zafar kā
aaj shikast-e-zulmat-e-shab hai aaj faroġh-e-nūr kā din hai
sadiyoñ ke mazlūm insāñ ne aaj ke din ḳhud ko pahchānā
aaj kā din hai yaum-e-anal-haq aaj kā din mansūr kā din hai
apne lahū kā parcham le kar aaj ke din mazlūm uThe the
ek na.e unvāñ kī rivāyat ek na.e dastūr kā din hai
ab na kabhī ham zulm saheñge jabr-o-sitam pe chup na raheñge
ek na.e elaan kī saa.at ek na.e manshūr kā din hai