kitne ḳhūbsūrat hote haiñ nā
aur thoḌe sar-phire bhī
ye chalnā nahīñ chāhte
bas uḌnā chāhte haiñ
bharnā chāhte haiñ
ek aisī uḌaan
ye sajnā chāhte haiñ
sañvarnā chāhte haiñ
Tāñkte haiñ kuchh ujle sitāre bhī
phir tākte haiñ ā.eñge din hamāre bhī
dekhte haiñ har nazar meñ hazāroñ savāl
kahte haiñ ḳhud se na Dar tū sambhāl
din meñ sajte haiñ shauq se
ḳhvāhish ke bāzāroñ meñ
bahut ḳhush-nasīb hotī hai vo āñkheñ
jin meñ ḳhvāb rahte haiñ