ab koī phuul mire dard ke dariyā meñ nahīñ
ab koī zaḳhm mire zehn ke sahrā meñ nahīñ
bolte lafz bhī ḳhāmosh tamannā.ī haiñ
jāgte ḳhvāb kī ta.abīr yahī hai shāyad
zindagī kyuuñ kisī mafhūm se aarī hī rahī
dhuup meñ jism sulagte hī chale jaate haiñ
muñh chhupā.e hue sūraj bhī fanā kī tasvīr
pyaas ban kar kisī dariyā meñ utar jaatā hai