donoñ mashkīze labā-lab
ek chumbak kī tarah
mard gāhak masḳharī karte hue Darte
zarā mohtāt rahte
aurteñ maġhmūm āñkhoñ meñ
taras kāḌhe hue
apne bachchoñ par baras paḌtīñ
agar vo bad-lihāz
vo ḳhudā.ī farsh par ukḌūñ
kabhī gautam ke aasan meñ kabhī
baar baar is vāste pahlū badaltā
jugal-garī kartā ki pairoñ meñ
vo ġhubāre phaḌte paḌte the
jin par taañt sī niilī rageñ phūlī huī
jis tarah kañghā chhupāne ke liye
us ne sir-sayyad kī dāḌhī hū-ba-hū
is maraz kā fā.eda itnā huā
apnī chaukī se farāġhat pā gayā
lauñg dhaniya dār-chīnī jā.e-phal aur tej-pāt
sab masāle us kī rānoñ ke maze
ġhībatī jal-kukḌe aise the ki bas
saaf kahte is ne ka.abe kī ziyārat hī
is pahāḌī se utarnā
dūsrī kā qasd karnā
jitne hāsid utnī bāteñ
ek roz
kisī mulk meñ ek thā bādshāh
hamārā tumhārā ḳhudā bādshāh