Seemab Akbarabadi

meri holi

Seemab Akbarabadi

Agra, Uttar pradesh, India

1880-1951
kaash hāsil ho haqīqī zindagī kā ek din
sarḳhushī kā ek lamha yā ḳhushī kā ek din
ik na.ī duniyā kī ḳhilqat hai mirī taḳhlā.ī meñ
jo muāvin ho sake insān kī takmīl meñ
kirshn kī aaj yād-e-rafta mahfil-e-zinda karo
brij-o-gokul kī bujhī sham.oñ ko tābinda karo
az-sar-e-nau phir murattab ho jahān-e-rañg-o-bū
ḳhār-o-ḳhas se phir ho paidā kār-ḳhāne rañg-o-bū
ruuh kī āvāz ham ā.eñge sāz-o-chañg ho
jo paḌe insāñ pe vo insāniyat kā rañg ho
jism kī sūrat rahe dil bhī masarrat meñ sharīk
rūh-e-āzādī bhī ho jaa.e haqīqat meñ sharīk
tāzgī vaj.h-e-shaguft-e-ḳhātir-e-ālam rahe
merī duniyā meñ hamesha ek hī mausam rahe
Top Urdushayar.com