go raat kī jabīñ se siyāhī na dhul sakī
lekin mirā charāġh barābar jalā kiyā
jis se diloñ meñ ab bhī harārat kī hai numūd
barsoñ mirī lahad se vo sho.ala uThā kiyā
phīkā hai jis ke sāmne aks-e-jamāl-e-yār
azm-e-javāñ ko maiñ ne vo ġhāza atā kiyā
mere lahū kī buuñd meñ ġhaltāñ thiiñ bijliyāñ
ḳhāk-e-dakan ko maiñ ne sharar-āshnā kiyā
sāhil kī aañkh meñ magar aa.ī na kuchh kamī
dariyā meñ laakh laakh talātum huā kiyā
ḳhvāb-e-girāñ se ġhunchoñ kī āñkheñ na khul sakīñ
go shāḳh-e-gul se naġhma barābar uThā kiyā
ye bazm aisī soī ki jaagī na aaj tak
fitrat kā kārvāñ hai ki aage baḌhā kiyā
maarā huā huuñ go ḳhalish-e-intizār kā
mushtāq aaj bhī huuñ payām-e-bahār kā