ham kaam ke naġhme gaate haiñ be-kār tarāna kyā jāneñ
jo sirf amal ke bande haiñ vo baat banānā kyā jāneñ
rag rag meñ lahū ko garmāte jaate haiñ vatan kī jai gaate
ham ahd-e-javānī ke maate būḌhoñ kā zamāna kyā jāneñ
tūfān meñ kashtī khete haiñ kohsār se Takkar lete haiñ
ham jañg meñ sar de dete haiñ ham paañv haTānā kyā jāneñ
bigḌoñ ko banāne aa.e haiñ ġhurbat ko miTāne aa.e haiñ
ham aag bujhāne aa.e haiñ ham aag lagānā kyā jāneñ
dīvār vo kaale zindāñ kī tasvīr vo zulm insāñ kī
shāhid hai hamāre armāñ kī ham jaan churānā kyā jāneñ
vo husn-o-javānī kī rāteñ vo kaif-o-tarannum kī bāteñ
vo la.al-o-gohar kī barsāteñ ham log manānā kyā jāneñ
iflās ke maare bandoñ ke kis tarah bilakte haiñ bachche
jo dekh rahe haiñ āñkhoñ se vo jashn manānā kyā jāneñ
vo aur haiñ jo karte haiñ sitam ḳhud shaad haiñ duniyā mahv-e-alam
ham zaḳhm pe rakhte haiñ marham ham zaḳhm lagānā kyā jāneñ
be-ḳhauf chale sañgīnoñ par aur rok lī golī sīnoñ par
likkhā hai hamārī jabīnoñ par ham sar kā jhukānā kyā jāneñ