Kafeel Aazar Amrohvi

lori

Kafeel Aazar Amrohvi

Amroha, Uttar pradesh, India

1940
ai mire nūr-e-nazar laḳht-e-jigar jān-e-sukūñ
niiñd aanā tujhe dushvār nahīñ hai so jā
lekin ai merī umīdoñ ke hasīñ tāj-mahal
maiñ tirī bhuuk ko lorī hī sunā saktī huuñ
bhuuk to terā muqaddar hai ġharībī kī qasam
bhuuk kī aag meñ jal jal ke ye ronā kaisā
aaj kī raat faqat tū hī nahīñ terī tarah
aur kitne haiñ jinheñ bhuuk lagī hai beTe
log kahte haiñ ki is mulk ke ġhaddāroñ ne
sirf mahñgā.ī baḌhāne ko chhupāyā hai anaaj
tū hī is mulk meñ nādār nahīñ hai so jā
ai mire nūr-e-nazar laḳht-e-jigar jān-e-sukūñ
Top Urdushayar.com