Akhtar Payami

shair

Akhtar Payami

aaj phir sañvlā rahā hai āriz-e-rū-e-hayāt
maut ke qānūn par hai zindagī kā garm haath
jhilmilātā jā rahā hai tund āñdhī meñ charāġh
mil rahā hai ḳhuun ke qatroñ se manzil kā surāġh
aa rahā hai fāqa-kash mazdūr ke chehre pe rañg
khurdure hāthoñ se ab Takrā rahe haiñ jām-o-sañg
chhuT rahī hai nabz-e-hastī aa rahā hai inqalāb
uTh rahā hai aaj farsūda aqā.ed kā suhāg
ziist kī gardan meñ hai pazhmurda afsānoñ kā haar
maut ke shānoñ pe hai salmā-e-getī kā nikhār
ban rahī haiñ ab zamāna meñ na.ī pagDañDiyāñ
jin se guzregā javāñ fikroñ kā pahlā kārvāñ
dāstān-e-ahd-e-pārīna hai zauq-e-rang-o-bū
ab chhalaktā hai ḳhum-o-sāġhar se insāñ kā lahū
bazm-e-husn-o-nāz kī dildāriyāñ bhī so ga.iiñ
hijr kī rātoñ kī vo be-ḳhūbiyāñ bhī ho ga.iiñ
Top Urdushayar.com