ab shor thamā to maiñ ne jaanā
aadhī ke qarīb ro chukī hai
shab gard ko ashk dho chukī hai
chādar kaalī ḳhalā kī mujh par
bhārī hai misl-e-maut shahpar
hai saañs ko rukne kā bahāna
tasbīh se TūTtā hai daana
maiñ nuqta-e-haqīr āsmānī
be-fasl hai be-zamāñ hai tū bhī
kahtī hai ye falsafa-tarāzī
lekin ye sansanātī vus.at
itnī be-harf o be-muravvat
āmāda-e-harb-e-lā-zamānī
dushman kī ajnabī nishānī