Shamsur Rahman Faruqi

raat shahr aur uske bachche

Shamsur Rahman Faruqi

Pratapgarh, Uttar pradesh, India

1936
sard maidānoñ pe shabnam saḳht
sukḌī sha-rāhoñ munjamid galiyoñ pe
jaalā niiñd kā
masrūf logoñ be-irāda ghūmte āvāra
kā hujūm be-dimāġh ab tham gayā hai
ranDiyoñ zanḳhoñ uchakkoñ jeb katroñ lūtiyoñ
kī fauj istimāl karda jism ke mānind Dhīlī
paḌ ga.ī hai
sansanātī raushnī havāoñ kī phisaltī
god meñ chup
ūñghtī hai farsh aur dīvār o dar
fuT paath
khambe
dhundlī mehrābeñ
dukānoñ ke siyah vīrān-zīne
sab ke nañge jism meñ shab
nam havā kī sūiyāñ be-ḳhauf
utartī kūdtī dhūmeñ machātī haiñ
kuchh shikasta taḳhtoñ ke pīchhe ka.ī
māsūm jāneñ haiñ
ḳhvāb kam-ḳhvābī meñ larzāñ
baal o par meñ sard-nishtar
baañs kī halkī akahrī be-hifāzat
Tokarī meñ
darjanoñ majbūr taa.ir
zer-e-par minqār muñh Dhāñpe ḳhamoshī ke samundar-e-be-nishāñ meñ
ġharq bāzū-basta chup
maḳhlūq ḳhudā jo gol kaalī gahrī āñkhoñ ke
na jaane kaun se manzar meñ gum hai
Top Urdushayar.com