ye surma.ī sī shaam
ragoñ meñ jis kī dauḌtā hai ḳhuuñ shafaq ke lāla-zār kā
ye āsmāñ kī samt muñh uThā ke kis ko yaad kartī hai
ye misl-e-dāġh lāla-e-chaman
to kyā use bhī hai ḳhabar ki āñsuoñ kī raushnī
charāġh-e-roz-o-shab se shoḳh-tar
ye dhīre dhīre uTh ke āsmāñ
pe nasha kī tarah se chhā.ī jaatī hai
siyāhiyoñ meñ surḳhiyoñ
siyāhiyoñ meñ raushnī
to uñgliyoñ se paañv kī kamar talak
kamar se tā-ba-rū-e-ambarīñ
ye tujh se kis ne kah diyā ki dāman-e-chaman
meñ āftāb ko