Shamsur Rahman Faruqi

aaKHiri tamashai

Shamsur Rahman Faruqi

Pratapgarh, Uttar pradesh, India

1936
uTho ki vaqt ḳhatm ho gayā
tamāsh-bīnoñ meñ tum āḳhirī hī rah ga.e ho
ab chalo
yahāñ se āsmān tak tamām shahr chādareñ lapeT lī ga.iiñ
zamīn sañg-reza saḳht
daañt sī safed malgajī dikhā.ī de rahī hai har taraf
tumheñ jahāñ gumān-e-sabza thā
vo jhalak rahī hai kohna kāġhazoñ kī barf
vo jo chale ga.e unheñ to iḳhtitāmiye ke sab siyāh manzaroñ kā ilm thā
vo pahle aa.e the isī liye vo aqalmand the tumheñ
to sub.h kā pata na shaam kī ḳhabar tumheñ to
itnā bhī pata nahīñ ki khel ḳhatm ho to us ko shaam
kahte haiñ ai nanhe shā.iqān-e-raqs
ab gharoñ ko jaao
Top Urdushayar.com