sabz billī sabz
āñkheñ sabz
sūraj kī kiran
jab nīm-ḳhvābī kī tarah us aañkh uupar
jhūltī hai jhūmtī hai sabz
āñkheñ sabz-raushan
rañg kī bārīk-lahreñ
urġhuvānī qurmuzī thoḌā bahut sone kā jhilmil-rañg
āñkheñ zindagī bantī haiñ dhundlī raushnī meñ
sabz bhūrī āñkheñ khultī haiñ to fauran
qumqume sī khilkhilātī
be-mahābā raushnī har goshe se khiñch kar simaT aatī hai bhūrī sabz
chashm be-hijābī kauñdtī hai
dhuup kī garmī nazar
bebāk uryāñ
phailte paare kī sūrat shāh-rāhoñ aur gharoñ meñ
maujzan hai sabz āñkheñ sabz
shaffāf ābgīna ban ga.ī haiñ