Shamsur Rahman Faruqi

bayan safai

Shamsur Rahman Faruqi

Pratapgarh, Uttar pradesh, India

1936
raat utartī ga.ī
mujh ko ḳhabar hī na thī
kāġhaz-e-be-rañg meñ sard-havas-jañg meñ
sub.h se masrūf log apnī chādar meñ band
aañkh khaTaktī nahīñ
dil pe barastī nahīñ
ḳhushk-hañsī be-namak shahr fazā meñ buland
tañg-galī kī havā
shaam ko chūhoñ kī dauḌ
tez-qadam gurba-e-shāh jahāñ kab jhapaT legī kise
kyā pata
niind kā ūñchā makāñ raushniyoñ se sajā
ham sab kī khiḌkiyāñ darvāze band haiñ
ghar kī chhateñ āhanī
ghar kī hifāzat karo ghar kī hifāzat karo
raat utartī rahe ham ko dikhā.ī na de
ham pe havā ilzām kyuuñ
Top Urdushayar.com