ghar kī zīnat achchhe bachche
mulk kī daulat achchhe bachche
ma.azūroñ kī majbūroñ kī
karte ḳhidmat achchhe bachche
har māhaul meñ khap jaate haiñ
hasb-e-zarūrat achchhe bachche
ustādoñ kī vāldain kī
karte itā.at achchhe bachche
sehat-mand rahne kī ḳhātir
karte kasrat achchhe bachche
apne vatan kī ḳhush-hālī meñ
rakhte raġhbat achchhe bachche
unhīñ pe ham ko naaz hai 'mehdī'
achchhī fitrat achchhe bachche