Rahi Masoom Raza

tashbib

Rahi Masoom Raza

Ghazipur, Uttar pradesh, India

1927-1992
tujh ko chāñd nahīñ kah saktā
kyūñki ye chāñd to is dhartī ke chaar taraf nāchā kartā hai
tujh ko charāġh nahīñ kah saktā
kyūñki charāġh to shām-e-ġharībāñ ke sahrā meñ sub.h-e-vatan kā naqsh-e-qadam hai
maiñ to ek daryūza-gar huuñ
kaliyoñ ke darvāzoñ par dastak detā huuñ
tujh ko ḳhvāb nahīñ kah saktā
ḳhvāboñ kā kyā
tujh ko raaz nahīñ kah saktā
raaz to akasr khul jaate haiñ
tū hī batlā tere liye maiñ lā.ūñ kahāñ se ab tashbīheñ
jis tashbīh ko chhūtā huuñ vo jhijhak ke pīchhe haT jaatī hai
Top Urdushayar.com