aaj apne kamre meñ
kis qadar akelā huuñ
dostoñ ke nāḳhun se
kitne zaḳhm khaa.e haiñ
chauñk chauñk uThtā huuñ
khāñsiyoñ kī aahaT se
tak rahā hai ā.īna
shīshiyoñ kī saf chup hai
khiḌkiyoñ kī ā.ankhoñ se
āsmāñ ko taktā huuñ
ghar ke sāmne ab bhī
ek rāsta hogā
chheḌtī hī rahtī haiñ
is ḳhayāl-e-qurbat ko
muñh se ḳhuun aatā hai
kitnī duur manzil hai
lafzoñ kī dukānoñ par
jazba-e-sadāqat kyā
is pe kuchh buzurgoñ kī
mujrimāna ḳhāmoshī
rahbaroñ se shikva hai
shauq se ḳhafā hote
aaj apne kamre meñ
kis qadar akelā huuñ
kyūñki zindagī merī
ahd kī alāmat hai
mere fan kī qindīleñ
haiñ diloñ kī rāhoñ par
hoñToñ par tabassum ke
kuchh diye jalātī haiñ
lafzoñ ke kaToroñ meñ
rūh-e-asr bhartī haiñ
jab talak mahaktā hai
gul-kada mire fan kā