jab kabhī maiñ udaas hotī huuñ
ik hujūm āñsuoñ kā palkoñ par
muntazir izn ko taḌpātā hai
kyā karūñ maiñ samajh nahīñ aatā
kis tarah se tumhārī yādoñ ko
sūrat-e-ashk meñ bahā Dālūñ
kyā kahūñ ik ghuTan kā aalam hai
maiñ huuñ tanhā.ī aur tirī yādeñ
har ghaḌī dil ko aarzū hai yahī
jo abhī tak nahīñ huā jānāñ
kaash aisā kabhī to ho jaa.e
yaad aa.e na terī us se qabl
tū mire sāmne chalā aa.e