Adil Jafari

abba ki ainak

Adil Jafari

kyā kar rahī haiñ aap yahāñ jald aa.iye
ammī kahāñ hai abbā kī ainak batā.iye
rakh kar yahīñ kahīñ use bhūle haiñ dekhiye
jhūle meñ ittifāq ke jhūle haiñ dekhiye
kiije jo koī baat to jhuñjhlā rahe haiñ vo
collage kā vaqt ho gayā jhallā rahe haiñ vo
un kī nazar meñ apnī hī har chiiz ġhair hai
takiya hai apnī jā pe na chādar ba-ḳhair hai
chīzeñ jo mez pe thiiñ vo sab hī palaT ga.iiñ
takiya hai apnī jā pe na chādar ba-ḳhair hai
chīzeñ jo mez pe thiiñ vo sab hī palaT ga.iiñ
ek ek kar ke saarī kitābeñ ulaT ga.iiñ
kamre kā haal ġhair hai aa kar bachā.iye
ammī ḳhudā ke vāste ab aa bhī jā.iye
ammī ye sun kar dauḌ kar aa.iiñ ba-iztirāb
abbā se ham-kalām huiiñ aate hī shitāb
kyā kar rahe haiñ aap zarā hosh kījiye
rakhī kahāñ thī aap ne ainak ye sochiye
abbā ye kahne paa.e the ki bas usī jagah
itne meñ ammī bol uThīñ ḳhuub vaah vā
vallāh kis kamāl ke haiñ aap aadmī
ajdād meñ do ek rahe hoñge falsafī
kiije durust jā.iye collage ba-sad shitāb
ainak dharī hai aap kī peshānī pe janāb
Top Urdushayar.com