Mauj Fatehgarhi

urdu zaban

Mauj Fatehgarhi

Farrukhabad, Uttar pradesh, India

1922
nutq kā e.ajāz hai urdu zabāñ
vaqt kī āvāz hai urdu zabāñ
jis meñ sur haiñ muḳhtalif bhāshāoñ ke
vo anokhā saaz hai urdu zabāñ
ye zabāñ ke saath hai tahzīb bhī
qābil-e-sad-nāz hai urdu zabāñ
mā.il-e-parvāz hai is kā adab
manzil-e-parvāz hai urdu zabāñ
qaumī yak-jehtī se jo paidā huī
vo hasīñ āġhāz hai urdu zabāñ
giitā aur qur.āñ kī tafsīreñ liye
maz.haboñ kā raaz hai urdu zabān
hindū muslim sikh īsā.ī koī ho
sab kī hī dam-sāz hai urdu zabāñ
is kā dushman dushman-e-amn-o-amāñ
prem kā andāz hai urdu zabāñ
sab zabānoñ par chaḌhī hai 'mauj' ye
is liye mumtāz hai urdu zabāñ
Top Urdushayar.com