Ankita Garg

mera sansar

Ankita Garg

chalo na aaj tumheñ ek kahānī sunātī huuñ
kahānī ke saath kuchh aur bhī batātī huuñ
maañ paapā bahut ḳhush the mere aane par
na jaane kyuuñ phir daada daadī kā chehra nahīñ khilā thā
maañ kā duudh paapā kā pyaar
yahī to thā merā sansār
thoḌī baḌī huī to schōl jaisā kuchh milā
mujh jaise bahut the vahāñ vahī kapḌe vahī juute
yuuñ hī maiñ baḌhtī ga.ī
sapnoñ kī sīḌhiyāñ chaḌhtī ga.ī
phir ek ghaḌī aisī aa.ī sab chīzeñ ho ga.ī parā.ī
unhīñ maañ baap ne to phir kar dī merī purvā.ī
sasurāl thā ab merā nayā ghar ghar jaisā nahīñ thā yahāñ kuchh par
maañ baap bhaa.ī nahīñ the idhar the to bas saas sasur devar
aa ga.ī phir vo ek ghaḌī
pata lagā vo bhī thī ek laḌkī
phir achānak ek hero lauT aaya
sab ko manāyā sab ko samjhāyā
Top Urdushayar.com