ek bachchī huā kartī thī
bahut achchhī huā kartī thī
na vāsta logoñ se thā
na khelnā bātoñ se thā
rāheñ har dam saaf thī
sab kī ġhalatiyāñ bhī muaaf thī
dostoñ kī kamī na thī
par khud se ziyāda kisī se jamī na thī
biite ko chhoḌ diyā shikvoñ ko bhī moḌ diyā
pyaar jahāñ se miltā thā
na zamāne kā Dar
vo thī be-fikr
par kahā na vo aam na thī
khud se vo anjān na thī
kahīñ kho gayā vo bachpanā
kahīñ kho ga.ī vo bachchī
vo chāhtī hai
har chāhat meñ ek chāhat ho
vo chāhtī hai
har baDappan meñ bhī bachpan ho
vo chāhtī hai ek sapnā paanā
phir se apne sapne jiinā
par is baar vo chāhtī hai
phir se vo ik bachchī banñā