Ankita Garg

mera raj-kumar

Ankita Garg

bahut ḳhush thī maiñ aaj
na hotī maiñ kaash
jānte haiñ maiñ bahut ḳhush thī aaj
ye din pahle aaya hotā kaash
is liye to
haañ roī thī maiñ
vidā.ī ke baad kī raat aa.ī thī
maiñ pahlī baar pyaar se kuchh yuuñ sharmā.ī thī
biitī raat kā phir intizār rukā
ek dam se mere kamre kā darvāza khulā
mujhe achchhā na lagā
ye pyaar sachchā na lagā
us kī hañsī mujhe chubh rahī thī
uñgliyāñ vo mujhe dikhī rahī thī
jaane man gintī mat roknā gintī rahnā
jaane man kyuuñ maza to aa rahā hai na
maiñ tham se gir ga.ī
lagā unheñ maiñ mar ga.ī
phir achānak ek dard ne jaise tamācha maarā
na jaane kahāñ se himmat kā sailāb aaya
maiñ ne jhaT se dhakkā diyā
un kī hālat ko pakkā kiyā
āñkhoñ ke bin maiñ ne duniyā dekh lī
apne hī hāthoñ se maiñ ne jañg jiit lī
maiñ hāshiya andhī huuñ
khudā kī vo bandī huuñ
Top Urdushayar.com