apnī āñkhoñ meñ ḳhamistān-e-mai-e-nāb liye
apne aariz pe bahār-e-gul-e-shādāb liye
nik.hat-o-rañg liye nuur kā sailāb liye
eid aa.ī hai mohabbat kā nayā baab liye
zulf bikhrī hai ki rahmat kī ghaTā chhā.ī hai
jis taraf dekhiye ra.anā.ī hī ra.anā.ī hai
zarra zarra hai jamāl-e-dur-e-ḳhush-āb liye
eid aa.ī hai mohabbat kā nayā baab liye
ḳhārzāroñ pe gulistāñ kā gumāñ hai imroz
shikva-e-jaur kisī lab pe kahāñ hai imroz
kitne taslīm liye kitne hī ādāb liye
eid aa.ī hai mohabbat kā nayā baab liye
kis qadar rahmat-e-sāqī-e-azal aam hai aaj
raqs-e-paimāna liye gardish-e-ayyām hai aaj
ishrat-e-rūh o sukūn-e-dil-e-betāb liye
eid aa.ī hai mohabbat kā nayā baab liye
dosh-e-gītī pe pareshāñ huī phir zulf-e-shamīm
laḌkhaḌātī huī phirtī hai gulistāñ meñ nasīm
ḳhaak hai taḳhta-e-gul bistar-e-sanjāb liye
eid aa.ī hai mohabbat kā nayā baab liye
zindagī rañj-o-alam bhuul ga.ī hai ai dost
mahfil-e-zīst ba-sad-shauq sajī hai ai dost
husn hai pairahan-e-atlas-o-kamḳhvāb liye
eid aa.ī hai mohabbat kā nayā baab liye
dard-e-hastī kī davā kar leñ ḳhulūs-e-dil se
aao ik farz adā kar leñ ḳhulūs-e-dil se
jazba-o-shauq-e-ham-āhañgī-e-ahbāb liye
eid aa.ī hai mohabbat kā nayā baab liye