phir nazar aatī hai sabze kī fazā meñ duur tak
aur ḳhushbū se mahaktī haiñ havā.eñ duur tak
haiñ tarannum-rez yaksar shāḳh-o-barg-o-bār aaj
ban gayā hai resha resha tār-e-mausīqār aaj
gulshanoñ meñ haiñ urūsān-e-bahār ārāsta
gulban-o-naḳhl-o-nihāl-o-shāḳhsār ārāsta
har lab-e-jū par haiñ yuuñ sarv-e-ḳhirāmāñ saiñkaḌoñ
goyā shīshe meñ utar aa.ī haiñ pariyāñ saiñkaḌoñ
dahr se ma.adūm jaaḌe ke nishāñ hone lage
har taraf āsār-e-sar-garmī ayaañ hone lage
pattharoñ meñ josh-e-tāsīr-e-numū paidā huā
har rag-e-afsurda meñ taaza lahū paidā huā
ai vafā khulte haiñ tujh par aaj kyā kyā raaz dekh
chal chaman meñ bulbul-o-gul ke niyāz-o-nāz dekh
chhoḌ ġhaflat aur mahv-e-garm-joshī tū bhī ho
arsa-e-hastī meñ garm-e-tāza-koshī tū bhī ho