kisī hañstī boltī jītī-jāgtī chiiz par
ye ghamanD kyā ye gumān kyuuñ
kahīñ aur aap kī jaan kyuuñ
ye to silsile haiñ usī fareb-e-ḳhayāl ke
ġham zāt-o-ḳhair-o-jamāl ke
vahī pher ahl-e-savāl ke
ajī Thiik hai ye vafā kā zahr na gholiye
are aap jhuuT hī boliye
nahīñ sab ke bhed na kholiye
koī kyā kare na mileñ jo rañg hī rañg se
Daro apne jī kī umañg se
kaTe kyuuñ nigāh patañg se
kabhī bekasī ko pukārte haiñ shajar hajar
mire paas kuchh bhī nahīñ magar
baḌī zindagī hai idhar-udhar
ye sambhalte hāthoñ maiñ kāñptī hai kamān kyuuñ
ye sarak rahī hai machān kyuuñ
ye khisak rahe haiñ makān kyuuñ