Mahboob Khizan

kaif se KHumar tak

Mahboob Khizan

Ballia, Uttar pradesh, India

1930-2013
vo hasīn thī mah-e-jabīn thī
be-gumān thī be-yaqīn thī
zindagī kī naram naram āhaTeñ
be-sabab yūñhī muskurāhaTeñ
uñgliyoñ meñ baal ko lapeTnā
dāman-e-ḳhayāl ko lapeTnā
har ghaḌī vahī milne vāliyāñ
be-ḳhayāliyāñ ḳhush-ḳhayāliyāñ
narm uljhaneñ kam-sinī ke ḳhvāb
añg añg meñ chheḌā inqalāb
muñh par oḌhnī jī kabhī nahīñ
maiñ to aap se boltī nahīñ
aur phir hayā zindagī kī maar
ma.arifat kā bojh jabr-o-iḳhtiyār
ek jaan aur saiñkaḌoñ vabāl
jism kī dukhan ruuh kā ḳhayāl
zindagī baḌhī raushnī liye
raushnī baḌhī tīrgī liye
inkisār meñ ik ġhurūr sā
kuchh ḳhumār sā kuchh surūr sā
dā.ere yahāñ dā.ere vahāñ
raqs meñ nazar raqs meñ jahāñ
guftugū meñ bal ḳhāmushī meñ loch
raat karvaTeñ karvaToñ meñ soch
dil bujhā bujhā tishnagī kī aañch
ajnabī thakan zindagī kī aañch
us ke kaam aa.eñ us kā dukh baTā.eñ
us ko chheḌ deñ aur muskurā.eñ
us kī aañkh meñ kitnā dard hai
rañg zard hai ruuh zard hai
vo udaas hai kyuuñ udaas hai
us kī zindagī kis ke paas hai
ye gunāh kyuuñ bhuul kyuuñ nahīñ
baaġh meñ tamām phuul kyuuñ nahīñ
Top Urdushayar.com