maiñ ne mahsūs kiyā hai to khulī haiñ āñkheñ
maiñ ne mahsūs kiyā hai to jale haiñ ye charāġh
ye charāġhāñ ye chaman kaise mile un se najāt
saañs lene ko Thahar jaao to jaadū kā hisār
har taraf shola-zabāñ naag haiñ phan jhūmte haiñ
sar uThāte haiñ na.e raag na.ī rāgniyāñ
paañv paḌte haiñ gale paḌte haiñ anjāne ḳhayāl
kyā mire paas magar ek thakan ek umañg
ek jiine kī lagan ek mohabbat kā lahū
na añdhere na ujāle se adāvat hai mujhe
raat hai din hai magar mujh ko to donoñ se hai kaam
kaam jhūTā ho to pahchānñe vaale bhī ka.ī
rañg sachche bhī na hoñ log burā mānte haiñ
chaltī-phirtī haiñ darīchoñ meñ ka.ī tasvīreñ
kyā karūñ maiñ tirī duniyā hai mirī āñkheñ haiñ
raat aur din meñ koī farq nahīñ hai aisā
maiñ ne mahsūs kiyā hai to khulī haiñ āñkheñ
maiñ ne mahsūs kiyā hai to jale haiñ ye charāġh