Mahboob Khizan

chand ke musafir

Mahboob Khizan

Ballia, Uttar pradesh, India

1930-2013
zindagī ko dekhā hai zindagī se bhāge haiñ
raushnī ke āñchal meñ tīrgī ke dhāge haiñ
tīrgī ke dhāgoñ meñ ḳhuun kī ravānī hai
dard hai mohabbat hai husn hai javānī hai
har taraf vahī andhā khel hai anāsir kā
tairtā chale sāhil Dūbtā chale dariyā
chāñd ho to kākul kī lahr aur chaḌhtī hai
raat aur ghaTtī hai baat aur baḌhtī hai
ye kashish magar kyā hai reshmī lakīroñ meñ
shaam kaise hotī hai nāchte jazīroñ meñ
har qadam na.ī uljhan sau tarah kī zanjīreñ
falsafoñ ke vīrāne dūsroñ kī jāgīreñ
āñdhiyāñ ujāloñ kī ghan-garaj siyāsat kī
kāñpte haiñ sayyāre raat hai qayāmat kī
jañg se jale duniyā chāñd ko chale pāgal
aañkh par gire bijlī kaan meñ paḌe kājal
daur hai parindoñ kā chheḌ hai sitāroñ se
kā.enāt aajiz hai ham gunāhgāroñ se
Top Urdushayar.com