vaqt kī baat hai har ġhuncha-e-sar-basta magar
vaqt kyā chiiz hai paimāna-e-be-sāḳhta hai
ye shab-o-roz javānī ye mah-o-sāl ravāñ
ruuh kyuuñ jism ke aage siper-andāḳhta hai
shāḳh dar shāḳh nazar aatī hai jiine kī umañg
chor kī tarah saraktī hai ragoñ meñ koī aag
sochne ke liye shāyad ye mah-o-sāl nahīñ
ai mire dīda-e-be-ḳhvāb mohabbat se na bhaag
husn kī aag ġhanīmat hai ki is se pahle
rag-e-ayyām thī ik jū-e-fasurda sar-e-shām
sab isī aag kā īñdhan haiñ guzarne vaale
ek hī larzish-e-sad-rañg kā partav hai tamām