ye shahr-e-sitam maar detā hai mujh ko
sar-e-rāh shām-o-sahar ke kināre
nazar aise pathrā ga.ī hai ki jaise
zamīñ ruk ga.ī ho
ziyāfat hai saḌkoñ kī mere
ye ghuTan kī fazā aur ye kaalā dhuāñ
ziyāñ ham-nafas hai
qafas hai saḌak hai saḌak hai qafas hai
ḳhamoshī mire dil ke kone meñ sahmī Darī
shor ke terā ifrīt se bhaag kar
ba-zāhir jo sīdhe nazar aa rahe haiñ
ye sab rāste dā.eroñ kī tarah haiñ