abhī maiñ barf se lipTe hue jazīre par
ḳhud apne aap se milne kī aarzū le kar
lagā huā huuñ savere ko shaam karne meñ
samundaroñ meñ ubharte bhañvar bulāte haiñ
ufuq se aatī sadā.eñ bhī khīñchtī haiñ magar
maiñ apnī soch se bāhar nikal nahīñ saktā
ajiib ḳhvāboñ kā be-nām silsila hai ye
ki zindagī se koī rābta nahīñ miltā
ḳhud apnī khoj meñ masrūf rahne vāloñ ko
kisī daraḳht kā saayā bhī yaañ nahīñ miltā