Shariq Adeel

ye kaisi jang hai

Shariq Adeel

ye kaisī jañg hai jo apnī manfa.at ke liye
ġharīb mulkoñ kī āzādiyoñ ko chhīntī hai
ye kaisī jañg hai jis meñ muqāble ke baġhair
nishāna saadh ke golī chalā.ī jaatī hai
ye kaisī jañg hai jis meñ asiir logoñ par
aziyyatoñ ke liye kutte chhoḌe jaate haiñ
ye kaisī jañg hai jis meñ bamoñ kī yūrish se
samā.ateñ bhī ḳhudā kī panāh chāhtī haiñ
ye kaisī jañg hai shahroñ kī tañg galiyāñ bhī
bhaḌakte sho.aloñ se raushan dikhā.ī detī haiñ
ye kaisī jañg hai jis meñ vafā-parastoñ kī
halākatoñ kī ḳhabar bhī uḌaa.ī jaatī hai
chalo ye pūchheñ tabāhī ke kāsht-kāroñ se
ba-nām-e-amn kahāñ tak lahū bahāoge
nikal ke dekho kabhī atomī hisāroñ se
tamām ālam-e-insāniyat hai sharminda
ye socho ḳhuun ke saudāgaro zarā socho
lahū kī nadiyāñ baheñgī agar zamīnoñ par
tumhārī kāsht ke pur-haul manzaroñ ko liye
tumhāre mulkoñ ke shahroñ ko bhī Dubo deñge
har ek zulm tumheñ apnā yaad aa.egā
panāh DhūñDoge tum raat ke añdheroñ meñ
magar vo raat bhī sho.aloñ meñ Duub jā.egī
ye vaqt tum pe qayāmat se kam nahīñ hogā
tumhāre karb kā ham ko bhī ġham nahīñ hogā
Top Urdushayar.com