kabhī jiine kabhī marne kī ḳhvāhish rok letī hai
vagarna maiñ havā kī lahr meñ tahlīl ho jā.ūñ
vo jādūgar thā jis ne raat par pahre biThā.e the
vagarna ab talak ye chāñd taare miT chuke hote
mujhe ma.alūm hai ik chāñd din ko bhī nikaltā hai
mujhe ma.alūm hai rāteñ bhī ik ḳhurshīd rakhtī haiñ
magar in vus.atoñ ko kaun bāñhoñ meñ sameTegā
kahāñ se aa.egī vo raushnī jo muntahī hogī
kidhar jā.ūñ ki har sū rāste kirnoñ kī sūrat haiñ
magar kirnoñ pe chalnā be-qarārī ko nahīñ aatā