Yusuf Zafar

minar-e-sukut

Yusuf Zafar

Mari, Punjab, Pakistan

1914-1972
vaqt ko sahrā kahūñ yā bahr-e-be-sāhil kahūñ
raat hai reg-e-ravāñ kī lahr yā ki mauj-e-āb-e-zindagī
soch kī chiñgāriyāñ uḌtī haiñ yuuñ
jaise dil par choT paḌtī ho kisī ehsās kī
saa.e
biitī sadiyāñ jaise par phailā.e uThīñ gol gol
din Dhale tak merī āñkhoñ meñ rahā biitī huī sadiyoñ kā nuur
merā sarmāya thā sūraj kī mohabbat kā fusūñ
ḳhushk haiñ lab dam nikaltā jā hai dam-ba-dam
be-hisī chhā.e chalī jaatī hai ab maiñ kyā karūñ
Top Urdushayar.com