Abdul Mannan Tarzi

ai watan ai watan

Abdul Mannan Tarzi

Darbhanga, Bihar, India

1940
ai vatan ai vatan ai hamāre vatan
phuul ham haiñ tire tū hamārā chaman
terī azmat pe haiñ jān-o-dil se ḳhudā
āsmāñ jhuk ke parcham tirā chūmtā
ai vatan ai vatan ai hamāre vatan
phuul ham haiñ tire tū hamārā chaman
ham haiñ fasl-e-bahār aur tū gulistāñ
tū agar āsmāñ hai to ham kahkashāñ
ai vatan ai vatan ai hamāre vatan
phuul ham haiñ tire tū hamārā chaman
ai vatan ḳhaak terī hai ḳhāk-e-shifā
chāñd-sūraj sā hai zarra zarra tirā
ai vatan ai vatan ai hamāre vatan
phuul ham haiñ tire tū hamārā chaman
sar pe dastār tere himāla banā
choTī kailāsh kī maañg Tiika tirā
ai vatan ai vatan ai hamāre vatan
phuul ham haiñ tire tū hamārā chaman
ai vatan hai duā tū salāmat rahe
apnī āñkhoñ meñ tū misl-e-jannat rahe
ai vatan ai vatan ai hamāre vatan
phuul ham haiñ tire tū hamārā chaman
Top Urdushayar.com