mere gītoñ meñ mohabbat ne jalā.e haiñ charāġh
aur yahāñ zulmat-e-zardār ke ghere haiñ tamām
ai mire giit! kahīñ aur hī chalnā hogā
tujh ko ma.alūm nahīñ aadam o havvā kī zamīñ
apne nāsūr ko parde meñ chhupāne ke liye
ai mire giit! kahīñ aur hī chalnā hogā
aa kahīñ aur kisī desh ko DhūñDeñ chal kar
ho jahāñ bhuuk na afkār ke pardoñ pe muhīt
ai mire giit! kahīñ aur hī chalnā hogā
ye bhī mumkin hai ki jholī meñ amal kī ik roz
yaas kī ḳhaak ho aur duur ho apnī manzil
ai mire giit kahīñ aur hī chalnā hogā